tujhe ai qais ek jalwa nazar aata to hai dil mein
tujhe ai qais ik jalva nazar aatā to hai dil meñ
phir ab kyā bahs lailā ghar meñ baiThī hai ki mahfil meñ
mohabbat bhī hai marg-e-nā-gahāñ kā shauq bhī dil meñ
zarā dekho hamārī mahviyat tahsīl-e-hāsil meñ
ilāhī mushkileñ āsān kar us zaat ke sadqe
zabāñ par merī jis kā naam aa jaatā hai mushkil meñ
kahīñ pheñko mujhe ulfat meñ jab maiñ amn kho baiThā
vahī mañjdhār kī maujoñ meñ hai jo ḳhāk-e-sāhil meñ
adā.eñ un kī sab qātil nahīñ aisī bhī dekhī haiñ
ki paidā ruuh meñ bālīdgī ho tāzgī dil meñ
ye tanz-e-tark-e-ulfat gosha-gīr-e-nā-umīdī par
nahīñ yuuñ chuTkiyāñ lete nahīñ dukhte hue dil meñ
mirī har saañs goyā ek gām-e-sa.ī hai 'mānī'
ye maiñ jiitā nahīñ masrūf huuñ qat.a-e-manāzil meñ
tujhe ai qais ek jalwa nazar aata to hai dil mein
phir ab kya bahs laila ghar mein baiThi hai ki mahfil mein
mohabbat bhi hai marg-e-na-gahan ka shauq bhi dil mein
zara dekho hamari mahwiyat tahsil-e-hasil mein
ilahi mushkilen aasan kar us zat ke sadqe
zaban par meri jis ka nam aa jata hai mushkil mein
kahin phenko mujhe ulfat mein jab main amn kho baiTha
wahi manjdhaar ki maujon mein hai jo KHak-e-sahil mein
adaen un ki sab qatil nahin aisi bhi dekhi hain
ki paida ruh mein baalidgi ho tazgi dil mein
ye tanz-e-tark-e-ulfat gosha-gir-e-na-umidi par
nahin yun chuTkiyan lete nahin dukhte hue dil mein
meri har sans goya ek gam-e-sai hai 'mani'
ye main jita nahin masruf hun qata-e-manazil mein
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 101)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.