tujhe ai shola-ru kab chhoDta hun
tujhe ai shola-rū kab chhoḌtā huuñ
jale dil ke phaphūle phoḌtā huuñ
zarā chal dekh mujh par teġh-e-abrū
muḌe hai tū ki maiñ muñh moḌtā huuñ
rafū jab tak na hove jeb-e-sad-chāk
ye rishta ashk kā koī toḌtā huuñ
sirishta dam kā jab tak haath meñ hai
usī ko toḌtā huuñ joḌtā huuñ
tujhe ai shola-ru kab chhoDta hun
jale dil ke phaphule phoDta hun
zara chal dekh mujh par tegh-e-abru
muDe hai tu ki main munh moDta hun
rafu jab tak na howe jeb-e-sad-chaak
ye rishta ashk ka koi toDta hun
sirishta dam ka jab tak hath mein hai
usi ko toDta hun joDta hun
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.