tujhe apni fazaon par pasheman kaun dekhega
tujhe apni fazaon par pasheman kaun dekhega
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
tujhe apnī fazāoñ par pashemāñ kaun dekhegā
tirā ġham sah ke bhī tujh ko pareshāñ kaun dekhegā
na aa.eñ vo nazar andar to bāhar kī taraf dekhūñ
tasavvur hai to phir tasvīr-e-jānāñ kaun dekhegā
kisī ke nuur kī jab dīda-o-dil meñ tajallī hai
to phir bazm-e-jahāñ ke ab charāġhāñ kaun dekhegā
sunegā kaun is shor-e-jahāñ meñ dhaḌkaneñ dil kī
mirā bhīgā huā ashkoñ se dāmāñ kaun dekhegā
jahāñ sub.h-e-vatan jaatī hai rañg-o-nūr barsātī
vahāñ be-kaif sī shām-e-ġharībāñ kaun dekhegā
tire dar par jamī hai har pareshāñ-hāl kī nazreñ
na tū dekhe to phir hāl-e-pareshāñ kaun dekhegā
jahāñ ne sirf ye dekhā ki sāhil par salāmat huuñ
uThā hai jo mire siine meñ tūfāñ kaun dekhegā
'habīb' āñkhoñ ko apnī band kar ke hī chaleñ varna
sar-e-bāzār biktā ḳhūn-e-insāñ kaun dekhegā
tujhe apni fazaon par pasheman kaun dekhega
tera gham sah ke bhi tujh ko pareshan kaun dekhega
na aaen wo nazar andar to bahar ki taraf dekhun
tasawwur hai to phir taswir-e-jaanan kaun dekhega
kisi ke nur ki jab dida-o-dil mein tajalli hai
to phir bazm-e-jahan ke ab charaghan kaun dekhega
sunega kaun is shor-e-jahan mein dhaDkanen dil ki
mera bhiga hua ashkon se daman kaun dekhega
jahan subh-e-watan jati hai rang-o-nur barsati
wahan be-kaif si sham-e-ghariban kaun dekhega
tere dar par jami hai har pareshan-haal ki nazren
na tu dekhe to phir haal-e-pareshan kaun dekhega
jahan ne sirf ye dekha ki sahil par salamat hun
uTha hai jo mere sine mein tufan kaun dekhega
'habib' aankhon ko apni band kar ke hi chalen warna
sar-e-bazar bikta KHun-e-insan kaun dekhega
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 42)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.