tujhe bahaar mili mujhko intizar mila
Interesting Fact
Paris 1951
tujhe bahār milī mujh ko intizār milā
is intizār meñ lekin kise qarār milā
kisī kī āñkhoñ meñ tāroñ kī muskurāhaT hai
kisī kī āñkhoñ ko shabnam kā kārobār milā
ye mere jaib-o-garebāñ pe kuchh nahīñ mauqūf
ki terā dāman-e-rañgīñ bhī tār-tār milā
tirī vafā ne mohabbat ko e.atibār diyā
tirī nazar se mujhe husn-e-e.atibār milā
tujhe bahaar mili mujh ko intizar mila
is intizar mein lekin kise qarar mila
kisi ki aankhon mein taron ki muskurahaT hai
kisi ki aankhon ko shabnam ka karobar mila
ye mere jaib-o-gareban pe kuchh nahin mauquf
ki tera daman-e-rangin bhi tar-tar mila
teri wafa ne mohabbat ko eatibar diya
teri nazar se mujhe husn-e-eatibar mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.