tujhe bhi ishq hua hai ye kis zamane mein
tujhe bhī ishq huā hai ye kis zamāne meñ
nahīñ hai māl-e-mohabbat bhī dil-ḳhazāne meñ
milo ki baat baḌhe dekhte haiñ phir shāyad
zarā kahīñ se mohabbat juḌe fasāne meñ
hamārā aglā paḌāv to bas mohabbat hai
havas to aa.egī jānānāñ darmiyāne meñ
maiñ ik firāq-zada aur nayā nayā tirā ishq
so ḳhuub rañg jamegā na.e-purāne meñ
jo nāgavārā thā mujh ko use gavārā thā
to saal lag gayā us ko mujhe manāne meñ
tujhe bhi ishq hua hai ye kis zamane mein
nahin hai mal-e-mohabbat bhi dil-KHazane mein
milo ki baat baDhe dekhte hain phir shayad
zara kahin se mohabbat juDe fasane mein
hamara agla paDaw to bas mohabbat hai
hawas to aaegi jaananan darmiyane mein
main ek firaq-zada aur naya naya tera ishq
so KHub rang jamega nae-purane mein
jo nagawara tha mujh ko use gawara tha
to sal lag gaya us ko mujhe manane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.