tujhe bhulane ki ab justuju nahin karte
tujhe bhulāne kī ab justujū nahīñ karte
ki ab kisī se tirī guftugū nahīñ karte
vujūd ko mire maujūdgī samajhte haiñ
vo nā-samajh jo mirī aarzū nahīñ karte
haiñ mehrbān shajar kis qadar ki ho ke ḳhafā
kabhī vo phūloñ ko be-rang-o-bū nahīñ karte
jo apne 'ishq ko ḳhud meñ samā.e phirte haiñ
talāsh phir vo use kū-ba-kū nahīñ karte
vo jin ko paas ho apne gharoñ kī hurmat kā
kisī ko vo kabhī be-ābrū nahīñ karte
rumūz-e-‘ishq jo ik baar jaan lete haiñ
kisī ke dil ko kabhī vo lahū nahīñ karte
namāz ġhazloñ kī merī adā nahīñ hotī
jo harf naam se tere vuzū nahīñ karte
tujhe bhulane ki ab justuju nahin karte
ki ab kisi se teri guftugu nahin karte
wujud ko mere maujudgi samajhte hain
wo na-samajh jo meri aarzu nahin karte
hain mehrban shajar kis qadar ki ho ke KHafa
kabhi wo phulon ko be-rang-o-bu nahin karte
jo apne 'ishq ko KHud mein samae phirte hain
talash phir wo use ku-ba-ku nahin karte
wo jin ko pas ho apne gharon ki hurmat ka
kisi ko wo kabhi be-abru nahin karte
rumuz-e-‘ishq jo ek bar jaan lete hain
kisi ke dil ko kabhi wo lahu nahin karte
namaz ghazlon ki meri ada nahin hoti
jo harf nam se tere wuzu nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.