tujhe dekha meri aankhon mein jab shadabiyan aain
tujhe dekhā mirī āñkhoñ meñ jab shādābiyāñ aa.iiñ
tirī be-mehr āñkhoñ meñ tabhī be-zāriyāñ aa.iiñ
na jaane aur kyā kyā kah rahī thī vādiyāñ mujh se
tirā jab zikr chheḌā thā ajab ḳhāmoshiyāñ aa.iiñ
hisār-e-yās kī jānib sadā.eñ aa rahī garche
mahz chehre nahīñ aa.e ka.ī parchhā.iyāñ aa.iiñ
hameñ shohrat bulandī tak agar le ke chalī aa.ī
magar saa.e tale is ke ka.ī nākāmiyāñ aa.iiñ
nahīñ hai ishq pahlā sā na pahlī sī kashish baaqī
magar ab saath jiine kī ka.ī majbūriyāñ aa.iiñ
tujhe dekha meri aankhon mein jab shadabiyan aain
teri be-mehr aankhon mein tabhi be-zariyan aain
na jaane aur kya kya kah rahi thi wadiyan mujh se
tera jab zikr chheDa tha ajab KHamoshiyan aain
hisar-e-yas ki jaanib sadaen aa rahi garche
mahz chehre nahin aae kai parchhaiyan aain
hamein shohrat bulandi tak agar le ke chali aai
magar sae tale is ke kai nakaamiyan aain
nahin hai ishq pahla sa na pahli si kashish baqi
magar ab sath jine ki kai majburiyan aain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.