tujhe DhunDhta hun samundar kinare
tujhe DhūñDhtā huuñ samundar kināre
maiñ jab baiThtā huuñ samundar kināre
vo dariyā giregā yahīñ par kisī din
khaḌā sochtā huuñ samundar kināre
samundar ke us paar bastā hai koī
jabhī ghūmtā huuñ samundar kināre
samundar baġhal-gīr hotā hai mujh se
maiñ jab nāchtā huuñ samundar kināre
sunātā huuñ qissa use Dūbne kā
jise dekhtā huuñ samundar kināre
samundar kī tah ḳhvāb 'tauqīr' merā
magar tairtā huuñ samundar kināre
tujhe DhunDhta hun samundar kinare
main jab baiThta hun samundar kinare
wo dariya girega yahin par kisi din
khaDa sochta hun samundar kinare
samundar ke us par basta hai koi
jabhi ghumta hun samundar kinare
samundar baghal-gir hota hai mujh se
main jab nachta hun samundar kinare
sunata hun qissa use Dubne ka
jise dekhta hun samundar kinare
samundar ki tah KHwab 'tauqir' mera
magar tairta hun samundar kinare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.