tujhe duniya main ab Thukra raha hun
tujhe duniyā maiñ ab Thukrā rahā huuñ
tirī sun kar bahut pachhtā rahā huuñ
mirī bulbul yahīñ maujūd rahnā
ḳhizāñ ko duur le kar jā rahā huuñ
jahāñ par saikḌoñ din qaid thā tū
vahīñ se chaar din meñ aa rahā huuñ
samā jaate the mujh meñ zaḳhm saare
maiñ apne dil ke jaise vā rahā huuñ
parinde uḌ rahe sur-tāl meñ sab
ḳhushī ke giit gaatā jā rahā huuñ
mujhe khānā dobāra dījiyegā
maiñ bartan saaf kar ke aa rahā huuñ
mire baare meñ thoḌā soch lenā
tire dil se nikālā jā rahā huuñ
tum apne aap ko ilzām mat do
maiñ apne aap se uktā rahā huuñ
abhī mauqa hai mujh ko rok le tū
tire nāzuk badan tak aa rahā huuñ
tujhe duniya main ab Thukra raha hun
teri sun kar bahut pachhta raha hun
meri bulbul yahin maujud rahna
KHizan ko dur le kar ja raha hun
jahan par saikDon din qaid tha tu
wahin se chaar din mein aa raha hun
sama jate the mujh mein zaKHm sare
main apne dil ke jaise wa raha hun
parinde uD rahe sur-tal mein sab
KHushi ke git gata ja raha hun
mujhe khana dobara dijiyega
main bartan saf kar ke aa raha hun
mere bare mein thoDa soch lena
tere dil se nikala ja raha hun
tum apne aap ko ilzam mat do
main apne aap se ukta raha hun
abhi mauqa hai mujh ko rok le tu
tere nazuk badan tak aa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.