aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe hai mashq-e-sitam ka malal waise hi

Ahmad Faraz

tujhe hai mashq-e-sitam ka malal waise hi

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    tujhe hai mashq-e-sitam malāl vaise

    hamārī jaan thī jaañ par vabāl vaise

    chalā thā zikr zamāne bevafā.ī

    so aa gayā hai tumhārā ḳhayāl vaise

    ham aa ga.e haiñ tah-e-dām to nasīb apnā

    vagarna us ne to pheñkā thā jaal vaise

    maiñ roknā nahīñ chāhtā thā vaar us

    girī nahīñ mire hāthoñ se Dhaal vaise

    zamāna ham se bhalā dushmanī to kyā rakhtā

    so kar gayā hai hameñ pā.emāl vaise

    mujhe bhī shauq na thā dāstāñ sunāne

    'farāz' us ne bhī pūchhā thā haal vaise

    tujhe hai mashq-e-sitam ka malal waise hi

    hamari jaan thi jaan par wabaal waise hi

    chala tha zikr zamane ki bewafai ka

    so aa gaya hai tumhaara KHayal waise hi

    hum aa gae hain tah-e-dam to nasib apna

    wagarna us ne to phenka tha jal waise hi

    main rokna hi nahin chahta tha war us ka

    giri nahin mere hathon se Dhaal waise hi

    zamana hum se bhala dushmani to kya rakhta

    so kar gaya hai hamein paemal waise hi

    mujhe bhi shauq na tha dastan sunane ka

    'faraaz' us ne bhi puchha tha haal waise hi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tujhe hai mashq-e-sitam ka malal waise hi Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now