tujhe hai shauq-e-zaban par jo qand rakhne ka
tujhe hai shauq-e-zabāñ par jo qand rakhne kā
de iḳhtiyār mujhe bhī pasand rakhne kā
pukārtī haiñ mire dil kī pastiyāñ mujh ko
yahī to vaqt hai rutba buland rakhne kā
isī jihād meñ guzrī hai zindagī apnī
kiyā hai roz irāda samand rakhne kā
buland meḳh se ḳhvāboñ kī rassiyāñ bāñdho
diyā hai raat ne mauqa kamand rakhne kā
hamīñ se husn ko hai aas daad paane kī
hamīñ ko hukm hai āñkhoñ ko band rakhne kā
sabhī ġhamoñ kā uThātā huuñ ḳharch meñ 'rāhat'
ajab sila hai dil-e-dard-mañd rakhne kā
tujhe hai shauq-e-zaban par jo qand rakhne ka
de iKHtiyar mujhe bhi pasand rakhne ka
pukarti hain mere dil ki pastiyan mujh ko
yahi to waqt hai rutba buland rakhne ka
isi jihad mein guzri hai zindagi apni
kiya hai roz irada samand rakhne ka
buland meKH se KHwabon ki rassiyan bandho
diya hai raat ne mauqa kamand rakhne ka
hamin se husn ko hai aas dad pane ki
hamin ko hukm hai aankhon ko band rakhne ka
sabhi ghamon ka uThata hun KHarch mein 'rahat'
ajab sila hai dil-e-dard-mand rakhne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.