tujhe husn ne kya se kya kar diya
tujhe husn ne kyā se kyā kar diyā
idhar dekh o but ḳhudā kar diyā
tabī.at meñ paidā maza kar diyā
mohabbat ne dard-āshnā kar diyā
bahut dostī jin se gāḌhī chhanī
unhīñ ne maza kirkirā kar diyā
maiñ qurbān ai nā-umīdī tire
mire dil ko be-mudda.ā kar diyā
dam-e-naz.a aa.e ye kah kar chale
jo va.ada kiyā thā vafā kar diyā
idhar aa gale se lagā luuñ tujhe
mirī jaan kis ne ḳhafā kar diyā
sabā lā ke tū ne dar-e-yār par
mirī ḳhaak ko kīmiyā kar diyā
ilāhī sazā hai ye kis jurm kī
ki is par mujhe mubtalā kar diyā
bahut marne jiine ke jhagḌe rahe
tire tiir ne faisla kar diyā
milā aaj 'hāmid' ajab haal thā
use ishq ne kyā se kyā kar diyā
tujhe husn ne kya se kya kar diya
idhar dekh o but KHuda kar diya
tabiat mein paida maza kar diya
mohabbat ne dard-ashna kar diya
bahut dosti jin se gaDhi chhani
unhin ne maza kirkira kar diya
main qurban ai na-umidi tere
mere dil ko be-muddaa kar diya
dam-e-naza aae ye kah kar chale
jo wada kiya tha wafa kar diya
idhar aa gale se laga lun tujhe
meri jaan kis ne KHafa kar diya
saba la ke tu ne dar-e-yar par
meri KHak ko kimiya kar diya
ilahi saza hai ye kis jurm ki
ki is par mujhe mubtala kar diya
bahut marne jine ke jhagDe rahe
tere tir ne faisla kar diya
mila aaj 'hamid' ajab haal tha
use ishq ne kya se kya kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.