tujhe jab se ai shahid-e-tur dekha
tujhe jab se ai shāhid-e-tūr dekhā
jidhar aañkh Daalī udhar nuur dekhā
ajab ahl-e-ulfat kā dastūr dekhā
vafūr-e-alam meñ bhī masrūr dekhā
jo paayā to ab tujh ko nazdīk paayā
na dekhā thā jab tak tujhe duur dekhā
huī aam aisī tirī jalva-rezī
yahāñ tuur dekhā vahāñ tuur dekhā
basīrat mirī chashm-e-haq-bīñ kī dekho
jidhar ruḳh kiyā nuur hī nuur dekhā
mirī dānish-o-āgahī kā burā ho
tujhe duur samjhā tujhe duur dekhā
ai 'zā.iq' na kyoñ ho ye ab rashk-e-dillī
bharā ahl-e-fan se ye bangalore dekhā
tujhe jab se ai shahid-e-tur dekha
jidhar aankh Dali udhar nur dekha
ajab ahl-e-ulfat ka dastur dekha
wafur-e-alam mein bhi masrur dekha
jo paya to ab tujh ko nazdik paya
na dekha tha jab tak tujhe dur dekha
hui aam aisi teri jalwa-rezi
yahan tur dekha wahan tur dekha
basirat meri chashm-e-haq-bin ki dekho
jidhar ruKH kiya nur hi nur dekha
meri danish-o-agahi ka bura ho
tujhe dur samjha tujhe dur dekha
ai 'zaiq' na kyon ho ye ab rashk-e-dilli
bhara ahl-e-fan se ye bangalore dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.