tujhe kahta hun ai dil ishq ka izhaar mat kijo
tujhe kahtā huuñ ai dil ishq kā iz.hār mat kiijo
ḳhamoshī ke makāñ meñ baat aur guftār mat kiijo
mohabbat meñ dil-o-jāñ hosh o tāqat sab akārat hai
kaho koī aql kuuñ jā kar baḌā bistār mat kiijo
evaz naqd-e-duā ke muft hai dushnām us lab siiñ
are dil ishq ke saude meñ phir takrār mat kiijo
use ūñchā hai zālim daam ne tujh mehrbānī ke
hamāre said-e-dil uupar sitam kā vaar mat kiijo
agar ḳhvāhish hai tujh kuuñ ai 'sirāj' āzād hone kī
kamand-e-aql kuuñ hargiz gale kā haar mat kiijo
tujhe kahta hun ai dil ishq ka izhaar mat kijo
KHamoshi ke makan mein baat aur guftar mat kijo
mohabbat mein dil-o-jaan hosh o taqat sab akarat hai
kaho koi aql kun ja kar baDa bistar mat kijo
ewaz naqd-e-dua ke muft hai dushnam us lab sin
are dil ishq ke saude mein phir takrar mat kijo
use uncha hai zalim dam ne tujh mehrbani ke
hamare said-e-dil upar sitam ka war mat kijo
agar KHwahish hai tujh kun ai 'siraj' aazad hone ki
kamand-e-aql kun hargiz gale ka haar mat kijo
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 535)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.