tujhe KHabar hai qadam qadam par jo parsaon ka silsila hai
tujhe ḳhabar hai qadam qadam par jo pārsāoñ kā silsila hai
ḳhudā-e-vāhid tirī zamīñ par ka.ī ḳhudāoñ kā silsila hai
chimaT ga.ī haiñ burī tarah se hamāre abdān in kī zad meñ
lahū hamāre pe pal rahī haiñ ye kin balāoñ kā silsila hai
hameñ hamārī hī nafratoñ ne tabāh-o-barbād kar diyā hai
bahār-rut hai magar chaman meñ vahī ḳhizāoñ kā silsila hai
ḳhudā nahīñ haiñ magar zamīñ pe ḳhudā ke jaisī sifāt un kī
tamām rishtoñ meñ is jahāñ ke 'ajīb maaoñ kā silsila hai
vo ḳhaak oḌhī hai jab se maañ ne vo raunaqeñ ab nahīñ haiñ ghar meñ
na barkatoñ kī vo bārisheñ haiñ na vo du'āoñ kā silsila hai
badaltā rahtā hai vaqt sab kā 'nadīm' is se mafar nahīñ hai
kabhī hai tūfāñ kabhī hai bārish kabhī havāoñ kā silsila hai
tujhe KHabar hai qadam qadam par jo parsaon ka silsila hai
KHuda-e-wahid teri zamin par kai KHudaon ka silsila hai
chimaT gai hain buri tarah se hamare abdan in ki zad mein
lahu hamare pe pal rahi hain ye kin balaon ka silsila hai
hamein hamari hi nafraton ne tabah-o-barbaad kar diya hai
bahaar-rut hai magar chaman mein wahi KHizaon ka silsila hai
KHuda nahin hain magar zamin pe KHuda ke jaisi sifat un ki
tamam rishton mein is jahan ke 'ajib maon ka silsila hai
wo KHak oDhi hai jab se man ne wo raunaqen ab nahin hain ghar mein
na barkaton ki wo barishen hain na wo du'aon ka silsila hai
badalta rahta hai waqt sab ka 'nadim' is se mafar nahin hai
kabhi hai tufan kabhi hai barish kabhi hawaon ka silsila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.