tujhe KHabar hai tujhe satata hun is bina par
tujhe ḳhabar hai tujhe satātā huuñ is binā par
tū boltā hai to haz uThātā huuñ is binā par
mirā lahū merī āstīñ par lagā huā hai
maiñ apnā qātil qarār paatā huuñ is binā par
kabhī kabhī haal ke haqā.eq mujhe satā.eñ
maiñ apne maazī meñ rahne jaatā huuñ is binā par
vo apnī āñkhoñ se dekh kar merā ilm parkheñ
maiñ apne bachchoñ ko sab batātā huuñ is binā par
use banāyā hai maiñ ne ye kam nahīñ kisī se
charāġh sūraj ko maiñ dikhātā huuñ is binā har
vo us meñ rahtā hai apnā kirdār DhūñDhtā hai
maiñ har kahānī use sunātā huuñ is binā par
mujhe ḳhabar hai vo sar tā-pā shā.irī hai 'taimūr'
ġhazal kā hissa use banātā huuñ is binā par
tujhe KHabar hai tujhe satata hun is bina par
tu bolta hai to haz uThata hun is bina par
mera lahu meri aastin par laga hua hai
main apna qatil qarar pata hun is bina par
kabhi kabhi haal ke haqaeq mujhe sataen
main apne mazi mein rahne jata hun is bina par
wo apni aankhon se dekh kar mera ilm parkhen
main apne bachchon ko sab batata hun is bina par
use banaya hai main ne ye kam nahin kisi se
charagh suraj ko main dikhata hun is bina har
wo us mein rahta hai apna kirdar DhunDhta hai
main har kahani use sunata hun is bina par
mujhe KHabar hai wo sar ta-pa shairi hai 'taimur'
ghazal ka hissa use banata hun is bina par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.