tujhe KHabar nahin ai bewafa hazaron ne
tujhe ḳhabar nahīñ ai bevafā hazāroñ ne
hayāt kaaT dī ro-ro ke ġham ke māroñ ne
ḳhizāñ ko kis liye ilzām duuñ batāo zarā
mire chaman ko jalāyā hai jab bahāroñ ne
milūñ maiñ chāñd se apne to kis tarah se milūñ
falak ko gher liyā hai ka.ī sitāroñ ne
hamāre mulk kī 'azmat ko bech Daalā hai
hamāre mulk ke kuchh jhūTe tājdāroñ ne
jidhar bhī dekhūñ mujhe tū dikhā.ī detā hai
banā ke rakh diyā pāgal tire ishāroñ ne
hamāre qatl kā koī subūt mil na sakā
kuchh aise qatl kiyā ham ko hoshiyāroñ ne
tujhe KHabar nahin ai bewafa hazaron ne
hayat kaT di ro-ro ke gham ke maron ne
KHizan ko kis liye ilzam dun batao zara
mere chaman ko jalaya hai jab bahaaron ne
milun main chand se apne to kis tarah se milun
falak ko gher liya hai kai sitaron ne
hamare mulk ki 'azmat ko bech Dala hai
hamare mulk ke kuchh jhuTe tajdaron ne
jidhar bhi dekhun mujhe tu dikhai deta hai
bana ke rakh diya pagal tere ishaaron ne
hamare qatl ka koi subut mil na saka
kuchh aise qatl kiya hum ko hoshiyaron ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.