tujhe kho kar teri hi yaad mein KHud ko magan karna
tujhe kho kar tirī hī yaad meñ ḳhud ko magan karnā
ḳhayāloñ meñ tujhe chhūnā tasavvur meñ suḳhan karnā
kahāñ tak ġham ko siine meñ lagā rakkheñge ham āḳhir
kahāñ tak zindagī ko markaz-e-ranj-o-mehan karnā
ye sach hai ishrateñ miltī haiñ bad-kāroñ ko duniyā meñ
magar kyoñ un kī ḳhātir zindagī ko bad-chalan karnā
sharāfat kī hadoñ ko paar karke DhūñDhnā izzat
hameñ aatā nahīñ ye Dhoñg ye dīvāna-pan karnā
hameñ bād-e-muḳhālif laakh roke ham nahīñ ḳhā.if
hameñ aatā hai maqsad ke liye laḌnā jatan karnā
na karnā kaam daftar meñ lagānā boss ko maska
ba-vaqt-e-guftugū tar shahd meñ apne suḳhan karnā
javānī chaar din kī hai hañseñ kheleñ maze le leñ
udāsī oḌh kar kyoñ chāñd sūrat ko gahan karnā
'azīm' is dil ko sarshārī ḳhayāl-e-yār baḳhshegā
hameñ aatā hai apnī ḳhalvatoñ ko anjuman karnā
tujhe kho kar teri hi yaad mein KHud ko magan karna
KHayalon mein tujhe chhuna tasawwur mein suKHan karna
kahan tak gham ko sine mein laga rakkhenge hum aaKHir
kahan tak zindagi ko markaz-e-ranj-o-mehan karna
ye sach hai ishraten milti hain bad-karon ko duniya mein
magar kyon un ki KHatir zindagi ko bad-chalan karna
sharafat ki hadon ko par karke DhunDhna izzat
hamein aata nahin ye Dhong ye diwana-pan karna
hamein baad-e-muKHalif lakh roke hum nahin KHaif
hamein aata hai maqsad ke liye laDna jatan karna
na karna kaam daftar mein lagana boss ko maska
ba-waqt-e-guftugu tar shahd mein apne suKHan karna
jawani chaar din ki hai hansen khelen maze le len
udasi oDh kar kyon chand surat ko gahan karna
'azim' is dil ko sarshaari KHayal-e-yar baKHshega
hamein aata hai apni KHalwaton ko anjuman karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.