tujhe main aur mujhe samjha raha hai tu
tujhe maiñ aur mujhe samjhā rahā hai tū
maiñ huuñ nazdīk kyoñ ghabrā rahā hai tū
mujhe is kī zarūrat hī nahīñ thī yaar
mujhe jis ke liye uksā rahā hai tū
batā kyā yaad aatī thī tujhe merī
mire bin saal bhar kaise rahā hai tū
mujhe āvāz de kar bhī bulā letā
magar dahlīz par baiThā rahā hai tū
kisī kī baat bhī Taalī nahīñ tū ne
mujhe bhī ġhaur se suntā rahā hai tū
tujhe main aur mujhe samjha raha hai tu
main hun nazdik kyon ghabra raha hai tu
mujhe is ki zarurat hi nahin thi yar
mujhe jis ke liye uksa raha hai tu
bata kya yaad aati thi tujhe meri
mere bin sal bhar kaise raha hai tu
mujhe aawaz de kar bhi bula leta
magar dahliz par baiTha raha hai tu
kisi ki baat bhi Tali nahin tu ne
mujhe bhi ghaur se sunta raha hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.