tujhe main bhul jaana chahta hun
tujhe maiñ bhuul jaanā chāhtā huuñ
yuuñ dil ko āzmānā chāhtā huuñ
na chheḌo aaj dard-o-ġham ke qisse
maiñ khul kar muskurānā chāhtā huuñ
mirī tahvīl meñ jo bhī hai yaaro
tumhīñ pe sab luTānā chāhtā huuñ
bahut bojhal se lagte haiñ manāzir
maiñ un se duur jaanā chāhtā huuñ
ḳhayāl-o-fikr kā dam ghuT rahā hai
na.ī duniyā banānā chāhtā huuñ
kisī kī yaad kī ḳhushbū ko 'anjum'
maiñ rag rag meñ basānā chāhtā huuñ
tujhe main bhul jaana chahta hun
yun dil ko aazmana chahta hun
na chheDo aaj dard-o-gham ke qisse
main khul kar muskurana chahta hun
meri tahwil mein jo bhi hai yaro
tumhin pe sab luTana chahta hun
bahut bojhal se lagte hain manazir
main un se dur jaana chahta hun
KHayal-o-fikr ka dam ghuT raha hai
nai duniya banana chahta hun
kisi ki yaad ki KHushbu ko 'anjum'
main rag rag mein basana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.