tujhe meri KHamoshi se bhi andaza nahin hota
tujhe merī ḳhamoshī se bhī andāza nahīñ hotā
ki maiñ ab sirf bātoñ se tar-o-tāza nahīñ hotā
tirā aanā bhī dekhegā tirā jaanā bhī har koī
mahal kī tarah ghar meñ chor-darvāza nahīñ hotā
natījoñ se bharī duniyā meñ paidā hone vāloñ kā
bharosa to bahut hotā hai ḳhamyāza nahīñ hotā
tirī āvāz bhārī hotī to suntā nahīñ koī
tire paañv nahīñ hote to āvāza nahīñ hotā
vo jis kī ek Thokar se hamārī ḳhaak uḌtī hai
usī ke paas gāloñ ke liye ġhāza nahīñ hotā
use in shā.iroñ se taaza phūloñ kī tavaqqo hai
ki jin kī shā.irī meñ sher bhī taaza nahīñ hotā
bichhaḌte vaqt ham donoñ kī hālat ek jaisī thī
bikharte vaqt jaise koī shīrāza nahīñ hotā
tujhe meri KHamoshi se bhi andaza nahin hota
ki main ab sirf baaton se tar-o-taza nahin hota
tera aana bhi dekhega tera jaana bhi har koi
mahal ki tarah ghar mein chor-darwaza nahin hota
natijon se bhari duniya mein paida hone walon ka
bharosa to bahut hota hai KHamyaza nahin hota
teri aawaz bhaari hoti to sunta nahin koi
tere panw nahin hote to aawaza nahin hota
wo jis ki ek Thokar se hamari KHak uDti hai
usi ke pas galon ke liye ghaza nahin hota
use in shairon se taza phulon ki tawaqqo hai
ki jin ki shairi mein sher bhi taza nahin hota
bichhaDte waqt hum donon ki haalat ek jaisi thi
bikharte waqt jaise koi shiraaza nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.