tujhe naKHl-band-e-hayat ne teri kawishon ke ye phal diye
tujhe naḳhl-band-e-hayāt ne tirī kāvishoñ ke ye phal diye
kiyā ḳhalq bāġh-e-jahāñ meñ jab to samar bhī hasb-e-'amal diye
koī DhūñDe le ke charāġh bhī na milegā un kā surāġh bhī
kahīñ un kā nām-o-nishāñ nahīñ jo 'adam ko qāfile chal diye
jo kisī ne himmateñ sarf kiiñ to dilī murādeñ use milīñ
jo shikam meñ ḳhaak ke the nihāñ vo dafīne us ne ugal diye
ye tilism-ḳhāna-e-dahr hai vo nazar fareb ki qahr hai
hameñ kyā hayāt-e-do-rozā dī jo hazār is meñ ḳhalal diye
ye ravā-ravī kā maqām hai ye ajal kā sheva-e-'ām hai
jo libās-e-zīst kahīñ hue to vo dam-zadan meñ badal ga.e
na ġharaz matā-e-jahāñ se kuchh na hamārā maal hai naqd-e-jāñ
tahī-dast aa.e the ham yahāñ tahī-dast dahr se chal diye
jo ma.āl-e-kār pe hai nazar dil-o-jāñ se ḳhidmat-e-ḳhalq kar
ki ye 'aql-o-hosh ye dast-o-pā tujhe bahr-e-husn-o-'amal diye
tū hī shash-jihat meñ hai zau-fishāñ nahīñ māsivā kā kahīñ nishāñ
pas-e-parda ho ke 'abas nihāñ ye fareb-e-husn-e-azal diye
na bahār-e-ḳhanda-e-gul hai ab na vo daur-e-sāġhar-e-mul hai ab
na vo baaġh hai na vo mai-kada ki ḳhizāñ ne rang badal diye
mire qalb par jo ye daaġh haiñ na kar in ko gul ye charāġh haiñ
mirī jaan shauq se le magar na bujhā ye bād-e-ajal diye
yahī 'barq' charḳh se hai gila hameñ gardishoñ ne miTā diyā
jo hamāre roz-e-nashāt the vo shab-e-alam se badal diye
tujhe naKHl-band-e-hayat ne teri kawishon ke ye phal diye
kiya KHalq bagh-e-jahan mein jab to samar bhi hasb-e-'amal diye
koi DhunDe le ke charagh bhi na milega un ka suragh bhi
kahin un ka nam-o-nishan nahin jo 'adam ko qafile chal diye
jo kisi ne himmaten sarf kin to dili muraden use milin
jo shikam mein KHak ke the nihan wo dafine us ne ugal diye
ye tilism-KHana-e-dahr hai wo nazar fareb ki qahr hai
hamein kya hayat-e-do-roza di jo hazar is mein KHalal diye
ye rawa-rawi ka maqam hai ye ajal ka shewa-e-'am hai
jo libas-e-zist kahin hue to wo dam-zadan mein badal gae
na gharaz mata-e-jahan se kuchh na hamara mal hai naqd-e-jaan
tahi-dast aae the hum yahan tahi-dast dahr se chal diye
jo maal-e-kar pe hai nazar dil-o-jaan se KHidmat-e-KHalq kar
ki ye 'aql-o-hosh ye dast-o-pa tujhe bahr-e-husn-o-'amal diye
tu hi shash-jihat mein hai zau-fishan nahin masiwa ka kahin nishan
pas-e-parda ho ke 'abas nihan ye fareb-e-husn-e-azal diye
na bahaar-e-KHanda-e-gul hai ab na wo daur-e-saghar-e-mul hai ab
na wo bagh hai na wo mai-kada ki KHizan ne rang badal diye
mere qalb par jo ye dagh hain na kar in ko gul ye charagh hain
meri jaan shauq se le magar na bujha ye baad-e-ajal diye
yahi 'barq' charKH se hai gila hamein gardishon ne miTa diya
jo hamare roz-e-nashat the wo shab-e-alam se badal diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.