tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai
tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai
Khalid Mahmood Zaki
MORE BYKhalid Mahmood Zaki
tujhe pā kar bhī jab koī kamī mahsūs hotī hai
to phir ye saañs bhī ruktī huī mahsūs hotī hai
jo kahnā hī nahīñ us kā ishāra kyuuñ diyā jaa.e
ki aisī baat to kuchh aur bhī mahsūs hotī hai
adīm-ul-fursatī shiddat se us kā yaad aa jaanā
ġhanīmat hai agar ye tishnagī mahsūs hotī hai
palaT kar aa ga.e ho tum to kyuuñ aa.e nahīñ lagte
tumhārī aañkh meñ kyuuñ gard sī mahsūs hotī hai
vagarna bojh hai jis ko liye phirnā hai kāñdhe par
kareñ mahsūs to ye zindagī mahsūs hotī hai
shajar vo bhī jise sīñchā ho apnā ḳhuun de de kar
kabhī us kī bhī chhāñv ajnabī mahsūs hotī hai
ye mere ḳhvāb haiñ jo saaya karte haiñ mire sar par
mujhe is dopahar meñ chhāñv sī mahsūs hotī hai
kisī kī guftugū ke darmiyāñ aksar na jaane kyuuñ
kahīñ gahrī sī koī ḳhāmushī mahsūs hotī hai
zamīñ terī tarah maiñ bhī safar meñ huuñ ki jaise tū
kabhī Thahrī nahīñ Thahrī huī mahsūs hotī hai
tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai
to phir ye sans bhi rukti hui mahsus hoti hai
jo kahna hi nahin us ka ishaara kyun diya jae
ki aisi baat to kuchh aur bhi mahsus hoti hai
adim-ul-fursati shiddat se us ka yaad aa jaana
ghanimat hai agar ye tishnagi mahsus hoti hai
palaT kar aa gae ho tum to kyun aae nahin lagte
tumhaari aankh mein kyun gard si mahsus hoti hai
wagarna bojh hai jis ko liye phirna hai kandhe par
karen mahsus to ye zindagi mahsus hoti hai
shajar wo bhi jise sincha ho apna KHun de de kar
kabhi us ki bhi chhanw ajnabi mahsus hoti hai
ye mere KHwab hain jo saya karte hain mere sar par
mujhe is dopahar mein chhanw si mahsus hoti hai
kisi ki guftugu ke darmiyan aksar na jaane kyun
kahin gahri si koi KHamushi mahsus hoti hai
zamin teri tarah main bhi safar mein hun ki jaise tu
kabhi Thahri nahin Thahri hui mahsus hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.