tujhe pa kar kabhi dekha nahin hai
tujhe pā kar kabhī dekhā nahīñ hai
nahīñ mā'lūm tū hai yā nahīñ hai
sabhī ḳhush-fahmiyoñ meñ mubtalā hoñ
koī tujh ko abhī samjhā nahīñ hai
qadam kyoñ aage baḌhte jā rahe haiñ
agar ye rāsta ghar kā nahīñ hai
bahut come log haiñ pahchān vaale
yahāñ har jism meñ chehra nahīñ hai
kahāñ hoñge hamāre ḳhvāb puure
yahāñ jannat vahāñ duniyā nahīñ hai
jo apne shahr ko jannat banā de
koī is shahr meñ aisā nahīñ hai
mile haiñ bārhā mid.hat se ham bhī
vo achchhā hai magar itnā nahīñ hai
tujhe pa kar kabhi dekha nahin hai
nahin ma'lum tu hai ya nahin hai
sabhi KHush-fahmiyon mein mubtala hon
koi tujh ko abhi samjha nahin hai
qadam kyon aage baDhte ja rahe hain
agar ye rasta ghar ka nahin hai
bahut come log hain pahchan wale
yahan har jism mein chehra nahin hai
kahan honge hamare KHwab pure
yahan jannat wahan duniya nahin hai
jo apne shahr ko jannat bana de
koi is shahr mein aisa nahin hai
mile hain barha midhat se hum bhi
wo achchha hai magar itna nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.