tujhe pane ki KHwahish phir jagi hai
tujhe paane kī ḳhvāhish phir jagī hai
magar afsos ye to ḳhud-kushī hai
mujhe āvāz de maiñ jī uThūñgā
tirī āvāz udāsī toḌtī hai
tirī tasvīr ko dekhūñ to mujh ko
abhī tak pyaar se hī dekhtī hai
agar tū ḳhush nahīñ hai to chalī jā
mujhe to ḳhair bas apnī paḌī hai
mirā kyā hai mirā afsos bhī kyā
tire aage to puurī zindagī hai
tujhe pane ki KHwahish phir jagi hai
magar afsos ye to KHud-kushi hai
mujhe aawaz de main ji uThunga
teri aawaz udasi toDti hai
teri taswir ko dekhun to mujh ko
abhi tak pyar se hi dekhti hai
agar tu KHush nahin hai to chali ja
mujhe to KHair bas apni paDi hai
mera kya hai mera afsos bhi kya
tere aage to puri zindagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.