Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe qasam hai mera eatibar rahne de

Sadiq Bajwa

tujhe qasam hai mera eatibar rahne de

Sadiq Bajwa

MORE BYSadiq Bajwa

    tujhe qasam hai mirā e.atibār rahne de

    vafā ke naam se kuchh iḳhtiyār rahne de

    maqām-o-jubba-o-dastār nahīñ ḳhvāhish

    nisār-e-jāñ ho ye dil ḳhāksār rahne de

    na jaane kaun manzil pe dam nikal jaa.e

    dil-e-hazīñ pe mohabbat baar rahne de

    vafā ke naam ko rusvā na kar sake koī

    surūr-o-lazzat-e-ġham ham-kanār rahne de

    ye shoḳhiyāñ ye tafāḳhur riyā hai sab be-sūd

    hayāt kyā hai faqat musta.ār rahne de

    kahīñ talāsh se apnī na rok de mujh ko

    ye vasvase ye savāloñ baar rahne de

    na noch kar ise siine se pheñk de apne

    kisī yaad kuchh kuchh ḳhumār rahne de

    gunāhgār sahī hai to banda-e-'sādiq'

    ġharīq-e-rahmat-e-parvardigār rahne de

    tujhe qasam hai mera eatibar rahne de

    wafa ke nam se kuchh iKHtiyar rahne de

    maqam-o-jubba-o-dastar ki nahin KHwahish

    nisar-e-jaan ho ye dil KHaksar rahne de

    na jaane kaun si manzil pe dam nikal jae

    dil-e-hazin pe mohabbat ka bar rahne de

    wafa ke nam ko ruswa na kar sake koi

    surur-o-lazzat-e-gham ham-kanar rahne de

    ye shoKHiyan ye tafaKHur riya hai sab be-sud

    hayat kya hai faqat mustaar rahne de

    kahin talash se apni na rok de mujh ko

    ye waswase ye sawalon ka bar rahne de

    na noch kar ise sine se phenk de apne

    kisi ki yaad ka kuchh kuchh KHumar rahne de

    gunahgar sahi hai to banda-e-'sadiq'

    ghariq-e-rahmat-e-parwardigar rahne de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now