tujhe rahe na rahe rabt-e-bahami ka KHayal
tujhe rahe na rahe rabt-e-bāhamī kā ḳhayāl
magar mujhe to hai ādāb-e-dostī kā ḳhayāl
taḌap rahā thā tirī bazm-e-nāz meñ lekin
kisī ne bhī na kiyā merī bebasī kā ḳhayāl
pahuñch sakegā vo kis tarah apnī manzil tak
jise zarā bhī na ho apnī kajravī kā ḳhayāl
mujhe yaqīn hai pā legā manziloñ ke nishāñ
vo kārvāñ ki na ho jis ko gumrahī kā ḳhayāl
milo to dost bano varna sāzisheñ hī karo
ki dostī meñ na shāmil ho dushmanī kā ḳhayāl
rah-e-hayāt meñ ham to abhī haiñ nau-āmoz
ḳhudā kare ki na paidā ho rahbarī kā ḳhayāl
'kamāl' jaise jahāñ hoñge chand ahl-e-junūñ
na kar sakegā vahāñ koī ḳhud-sarī kā ḳhayāl
tujhe rahe na rahe rabt-e-bahami ka KHayal
magar mujhe to hai aadab-e-dosti ka KHayal
taDap raha tha teri bazm-e-naz mein lekin
kisi ne bhi na kiya meri bebasi ka KHayal
pahunch sakega wo kis tarah apni manzil tak
jise zara bhi na ho apni kajrawi ka KHayal
mujhe yaqin hai pa lega manzilon ke nishan
wo karwan ki na ho jis ko gumrahi ka KHayal
milo to dost bano warna sazishen hi karo
ki dosti mein na shamil ho dushmani ka KHayal
rah-e-hayat mein hum to abhi hain nau-amoz
KHuda kare ki na paida ho rahbari ka KHayal
'kamal' jaise jahan honge chand ahl-e-junun
na kar sakega wahan koi KHud-sari ka KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.