tujhe sunaun ghazal ya sunaun apna gham
tujhe sunā.ūñ ġhazal yā sunā.ūñ apnā ġham
zarā irāda batā tū bhī kuchh ai mere sanam
maiñ shāhzādī huuñ alfāz ke riyāsat kī
ḳhazāna sher-o-suḳhan kā kabhī na hogā kam
nibhā rahe haiñ sabhī se ḳhulūs ke rishte
isī se baaqī hai duniyā ke bāzūoñ meñ dam
jo ham se raat meñ tanhā.ī ham-kalām huī
sañvar gayā mire jazboñ kā aaj saarā ḳham
mujhe pasand nahīñ be-hayā.ī duniyā kī
koī sameT le aa kar tamīz kā yuuñ bharam
bayān kar diyā jazbāt maiñ ne bhī 'shīrīñ'
hunar ye apnā nahīñ hai ḳhudā kā ḳhaas karam
tujhe sunaun ghazal ya sunaun apna gham
zara irada bata tu bhi kuchh ai mere sanam
main shahzadi hun alfaz ke riyasat ki
KHazana sher-o-suKHan ka kabhi na hoga kam
nibha rahe hain sabhi se KHulus ke rishte
isi se baqi hai duniya ke bazuon mein dam
jo hum se raat mein tanhai ham-kalam hui
sanwar gaya mere jazbon ka aaj sara KHam
mujhe pasand nahin be-hayai duniya ki
koi sameT le aa kar tamiz ka yun bharam
bayan kar diya jazbaat main ne bhi 'shirin'
hunar ye apna nahin hai KHuda ka KHas karam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.