tujhe talash hai jis ki guzar gaya kab ka
tujhe talāsh hai jis kī guzar gayā kab kā
mire vajūd meñ vo shaḳhs mar gayā kab kā
jo mujh meñ rah ke mujhe ā.īna dikhātā thā
mire badan se vo chehra utar gayā kab kā
tilism TuuT gayā shab kā maiñ bhī ghar ko chalūñ
rukā thā jis ke liye vo bhī ghar gayā kab kā
tujhe jo faisla denā hai de bhī munsif-e-vaqt
vo mujh pe saare hī ilzām dhar gayā kab kā
na jaane kaun sā pal TuuT kar bikhar jaa.e
hamāre sabr kā kashkol bhar gayā kab kā
tujhe talash hai jis ki guzar gaya kab ka
mere wajud mein wo shaKHs mar gaya kab ka
jo mujh mein rah ke mujhe aaina dikhata tha
mere badan se wo chehra utar gaya kab ka
tilism TuT gaya shab ka main bhi ghar ko chalun
ruka tha jis ke liye wo bhi ghar gaya kab ka
tujhe jo faisla dena hai de bhi munsif-e-waqt
wo mujh pe sare hi ilzam dhar gaya kab ka
na jaane kaun sa pal TuT kar bikhar jae
hamare sabr ka kashkol bhar gaya kab ka
- Book : Aabnaai (Pg. 44)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.