tujhe to aaj bhi hum be-shumar chahte hain
tujhe to aaj bhī ham be-shumār chāhte haiñ
ik aur tarah kā lekin qarār chāhte haiñ
hamārā mas.ala ye hai ki shaam hote hī
ham apne aap se thoḌā farār chāhte haiñ
palaTne vaale tujhe pahle hī batāyā thā
kisī bhī shaḳhs ko ham ek baar chāhte haiñ
ye log kyuuñ bhalā thakte dikhā.ī dete nahīñ
ab aur kitnā tirā intizār chāhte haiñ
hamāre tajrabe itne ziyāda Thiik nahīñ
so tujh se pyaar nahīñ e'tibār chāhte haiñ
ḳhudā havas se bachā.e magar ka.ī din se
tire badan pe bhī ham iḳhtiyār chāhte haiñ
tujhe to aaj bhi hum be-shumar chahte hain
ek aur tarah ka lekin qarar chahte hain
hamara masala ye hai ki sham hote hi
hum apne aap se thoDa farar chahte hain
palaTne wale tujhe pahle hi bataya tha
kisi bhi shaKHs ko hum ek bar chahte hain
ye log kyun bhala thakte dikhai dete nahin
ab aur kitna tera intizar chahte hain
hamare tajrabe itne ziyaada Thik nahin
so tujh se pyar nahin e'tibar chahte hain
KHuda hawas se bachae magar kai din se
tere badan pe bhi hum iKHtiyar chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.