tujhe ye kaise bataun azab kitne the
tujhe ye kaise batā.ūñ 'azāb kitne the
mirī nazar ke muqābil sarāb kitne the
ye hashr meñ mire ā'māl hī batā.eñge
gunāh kitne the mere savāb kitne the
tujhe ḳhabar hī kahāñ hai ki in añdheroñ meñ
hatheliyoñ pe mirī āftāb kitne the
lahū-lahū thā badan maiñ hisāb kyā rakhtā
chaman meñ ḳhaar the kitne gulāb kitne the
shikasta-pā.ī mirā hāsil-e-safar to batā
maiñ jab chalā thā to āñkhoñ meñ ḳhvāb kitne the
maiñ ek jugnū ki tārīkiyoñ se laḌtā huā
tumhāre ruḳh pe magar āftāb kitne the
huzūr apnī taraf bhī zarā nigāh kareñ
ki 'aib aap meñ ‘ālī-janāb kitne the
mile jo log 'nafas' mujh ko bā-ḳhulūs mile
maiñ kyā kahūñ ki ab un meñ ḳharāb kitne the
tujhe ye kaise bataun 'azab kitne the
meri nazar ke muqabil sarab kitne the
ye hashr mein mere aa'mal hi bataenge
gunah kitne the mere sawab kitne the
tujhe KHabar hi kahan hai ki in andheron mein
hatheliyon pe meri aaftab kitne the
lahu-lahu tha badan main hisab kya rakhta
chaman mein KHar the kitne gulab kitne the
shikasta-pai mera hasil-e-safar to bata
main jab chala tha to aankhon mein KHwab kitne the
main ek jugnu ki tarikiyon se laDta hua
tumhaare ruKH pe magar aaftab kitne the
huzur apni taraf bhi zara nigah karen
ki 'aib aap mein ‘ali-janab kitne the
mile jo log 'nafas' mujh ko ba-KHulus mile
main kya kahun ki ab un mein KHarab kitne the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.