tujhi se dad-e-wahshat len tujhi ko mehrban kar len
tujhi se dad-e-wahshat len tujhi ko mehrban kar len
Moin Ahsan Jazbi
MORE BYMoin Ahsan Jazbi
tujhī se dād-e-vahshat leñ tujhī ko mehrbāñ kar leñ
junūn-e-shauq meñ jo chāheñ ham ai āsmāñ kar leñ
jo aa.e dil meñ sab jazb-e-nigāh-e-nā-tavāñ kar leñ
ham arz-e-shauq se pahle na un ko rāz-dāñ kar leñ
shikasta saaz chheḌeñ apnī āñkheñ gul-fishāñ kar leñ
vo aa.eñ yā na aa.eñ ham to bazm-ārā.īyāñ kar leñ
mirī nazroñ meñ ḳhāk-e-āshiyāñ bhī āshiyāñ hogī
jinheñ hai bijliyoñ kā ḳhauf fikr-e-āshiyāñ kar leñ
talāfī kuchh na kuchh ho jaa.e taklīf-e-tabassum kī
zarā Thahro ham apne dāmanoñ kī dhajjiyāñ kar leñ
havā-e-garm kuchh mohlat de in māsūm ġhunchoñ ko
ki thoḌī der to nazzāra-e-rañg-e-jahāñ kar leñ
tujhi se dad-e-wahshat len tujhi ko mehrban kar len
junun-e-shauq mein jo chahen hum ai aasman kar len
jo aae dil mein sab jazb-e-nigah-e-na-tawan kar len
hum arz-e-shauq se pahle na un ko raaz-dan kar len
shikasta saz chheDen apni aankhen gul-fishan kar len
wo aaen ya na aaen hum to bazm-araiyan kar len
meri nazron mein KHak-e-ashiyan bhi aashiyan hogi
jinhen hai bijliyon ka KHauf fikr-e-ashiyan kar len
talafi kuchh na kuchh ho jae taklif-e-tabassum ki
zara Thahro hum apne damanon ki dhajjiyan kar len
hawa-e-garm kuchh mohlat de in masum ghunchon ko
ki thoDi der to nazzara-e-rang-e-jahan kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.