Tuk baiTh tu ai shoKH-e-dil-aram baghal mein
Tuk baiTh tū ai shoḳh-e-dil-ārām baġhal meñ
aa.e nahīñ is dil ko bhī ārām baġhal meñ
kyuuñ kar ke na gulḳhan kī tarah aah jaleñ ham
ik aag hai yaañ jis kā hai dil naam baġhal meñ
sar rakh ke garebān meñ kar sair jahāñ kī
ā.īna tire jeb meñ hai jaam baġhal meñ
kis tarah 'razā' tū na ho rusvā-e-zamāna
jab dil sā tire baiThā ho badnām baġhal meñ
Tuk baiTh tu ai shoKH-e-dil-aram baghal mein
aae nahin is dil ko bhi aaram baghal mein
kyun kar ke na gulKHan ki tarah aah jalen hum
ek aag hai yan jis ka hai dil nam baghal mein
sar rakh ke gareban mein kar sair jahan ki
aaina tere jeb mein hai jam baghal mein
kis tarah 'raza' tu na ho ruswa-e-zamana
jab dil sa tere baiTha ho badnam baghal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.