Tuk ek insaf kar itni bhi karta hai jafa koi
Tuk ek insaf kar itni bhi karta hai jafa koi
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
Tuk ik insāf kar itnī bhī kartā hai jafā koī
karegā ba.ad mere kis tavaqqo.a par vafā koī
nazar aatā nahīñ sābit garebāñ ek ġhunche kā
chaman par ye sitam kartā hai ai bād-e-sabā koī
gul-o-lāla se shor-angez-tar haigī hinā terī
na ho dīvāna kyuuñ kar dekh tere dast-o-pā koī
ajab saj se kiyā hai qatl mujh ko is ko mat Toko
talab kartā hai aise qātiloñ se ḳhūñ-bahā koī
guzar jā vasl se gar hijr meñ dekhe razā us kī
mohabbat meñ 'yaqīñ' letā hai nām-e-mudda.ā koī
Tuk ek insaf kar itni bhi karta hai jafa koi
karega baad mere kis tawaqqoa par wafa koi
nazar aata nahin sabit gareban ek ghunche ka
chaman par ye sitam karta hai ai baad-e-saba koi
gul-o-lala se shor-angez-tar haigi hina teri
na ho diwana kyun kar dekh tere dast-o-pa koi
ajab saj se kiya hai qatl mujh ko is ko mat Toko
talab karta hai aise qatilon se KHun-baha koi
guzar ja wasl se gar hijr mein dekhe raza us ki
mohabbat mein 'yaqin' leta hai nam-e-muddaa koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.