Tuk tu mahmil ka nishan de jald ai surat zara
Tuk tū mahmil kā nishāñ de jald ai sūrat zarā
kab talak bhaTke phireñ ab ham se dīvāne ḳharāb
ye bhī kuchh andher hai ab zulf tere darmiyāñ
ghar base shāne kā aur hoñ dil ke kāshāne ḳharāb
dil to ḳhuuñ ho bah gayā aur hai jigar baaqī so ab
us kī bhī hālat lagī ham ko nazar aane ḳharāb
ghar base to ghar meñ kis ke jā basā hai bol uTh
masjideñ vīrāñ haiñ tujh bin aur sanam-ḳhāne ḳharāb
sham.a bhaḌkā sho.ala apnā aag de fānūs ko
kab talak phirte raheñ gird us ke parvāne ḳharāb
chup ho ab to ai 'razā' in ḳhākiyoñ par rahm kar
rone se tere ho.e sab shahr-o-vīrāne ḳharāb
Tuk tu mahmil ka nishan de jald ai surat zara
kab talak bhaTke phiren ab hum se diwane KHarab
ye bhi kuchh andher hai ab zulf tere darmiyan
ghar base shane ka aur hon dil ke kashane KHarab
dil to KHun ho bah gaya aur hai jigar baqi so ab
us ki bhi haalat lagi hum ko nazar aane KHarab
ghar base to ghar mein kis ke ja basa hai bol uTh
masjiden viran hain tujh bin aur sanam-KHane KHarab
shama bhaDka shoala apna aag de fanus ko
kab talak phirte rahen gird us ke parwane KHarab
chup ho ab to ai 'raza' in KHakiyon par rahm kar
rone se tere hoe sab shahr-o-virane KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.