TukDe TukDe jab baT jaun sham gae
TukḌe TukḌe jab baT jā.ūñ shaam ga.e
din kā saarā qarz chukā.ūñ shaam ga.e
ghar se chalte maiñ ne aksar sochā hai
shāyad hī maiñ luuT ke aa.uuñ shaam ga.e
saarā din is uljhan hī meñ biit gayā
kaise apnā dil bahlā.ūñ shaam ga.e
dhuup ke maare logoñ ko bhī sahrā meñ
mil jaatī hai peḌ kī chhāñv shaam ga.e
kis kāñdhe par ashk bahā.ūñ shaam ga.e
kis ko apne zaḳhm dikhā.ūñ shaam ga.e
par phailā.e murġhā bolā mīr-'ayāz'
jaagā mere man kā gaañv shaam ga.e
TukDe TukDe jab baT jaun sham gae
din ka sara qarz chukaun sham gae
ghar se chalte main ne aksar socha hai
shayad hi main luT ke aaun sham gae
sara din is uljhan hi mein bit gaya
kaise apna dil bahlaun sham gae
dhup ke mare logon ko bhi sahra mein
mil jati hai peD ki chhanw sham gae
kis kandhe par ashk bahaun sham gae
kis ko apne zaKHm dikhaun sham gae
par phailae murgha bola mir-'ayaz'
jaga mere man ka ganw sham gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.