TukDon mein tum kyon phirte ho
TukḌoñ meñ tum kyoñ phirte ho
kahte kuchh ho kuchh dikhte ho
rātoñ meñ hai kitnā sannāTā
saarī rāteñ kyoñ jagte ho
āñkhoñ meñ haiñ nīndeñ itnī
kyā karte ho kab sote ho
thak kar maiñ ḳhud ko kahtā huuñ
tum chādar se kyoñ lambe ho
jaane vaalā kab lauTegā
dil se ab bhī tum bachche ho
TukDon mein tum kyon phirte ho
kahte kuchh ho kuchh dikhte ho
raaton mein hai kitna sannaTa
sari raaten kyon jagte ho
aankhon mein hain ninden itni
kya karte ho kab sote ho
thak kar main KHud ko kahta hun
tum chadar se kyon lambe ho
jaane wala kab lauTega
dil se ab bhi tum bachche ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.