tulu-e-mehr ne phulon ki zindagi kam ki
tulū-e-mehr ne phūloñ kī zindagī kam kī
ye kyā ḳhushī hai ki taqdīr khul ga.ī ġham kī
jalāo ḳhuun ruḳh-e-sham.a zard hai yaaro
lagāo aag ki nikhre to aabrū ġham kī
laboñ tak aa.ī huī muskurāhaToñ ko na rok
tirī balā se jo baḌh jaa.e zindagī ġham kī
na kar yaqīn ki bedār haiñ chaman vaale
bhare chaman meñ luTī hai bahār shabnam kī
jinheñ shu.ūr-e-ġham-dost raas aatā hai
huzūr-e-dost bhī karte haiñ aarzū ġham kī
mirī taraf se bhī us dar pe ek sajda-e-shauq
jahāñ ḳhushī ke barābar ho aabrū ġham kī
jafā-shi.ār duā de mire tabassum ko
hazār baar baḌhā dī hai aabrū ġham kī
guzar chukā huuñ har ik zindagī se maiñ 'anjum'
mirā kalām hai tārīḳh saare aalam kī
tulu-e-mehr ne phulon ki zindagi kam ki
ye kya KHushi hai ki taqdir khul gai gham ki
jalao KHun ruKH-e-shama zard hai yaro
lagao aag ki nikhre to aabru gham ki
labon tak aai hui muskurahaTon ko na rok
teri bala se jo baDh jae zindagi gham ki
na kar yaqin ki bedar hain chaman wale
bhare chaman mein luTi hai bahaar shabnam ki
jinhen shuur-e-gham-dost ras aata hai
huzur-e-dost bhi karte hain aarzu gham ki
meri taraf se bhi us dar pe ek sajda-e-shauq
jahan KHushi ke barabar ho aabru gham ki
jafa-shiar dua de mere tabassum ko
hazar bar baDha di hai aabru gham ki
guzar chuka hun har ek zindagi se main 'anjum'
mera kalam hai tariKH sare aalam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.