tulu-e-subh se kab kab zawal-e-shab se hua
tulū-e-sub.h se kab kab zavāl-e-shab se huā
jahāñ meñ nuur faqat barq-e-nutq-o-lab se huā
judā judā the bahut nek-nām ham donoñ
malāmatoñ kā hadaf haiñ milāp jab se huā
mile ho tum to huī qadr dil ko lamhoñ kī
guzar chukī hai bahut par hisāb ab se huā
har ek chāhne vaalā banā hai ḳhusrav-e-ġham
dayār-e-ishq meñ ye inqalāb kab se huā
lahū kī dhaar ko samjhe haqīr ḳhanjar se
zavāl sāhab-e-jānāñ isī sabab se huā
kisī adā ko sitam kah diyā kisī ko karam
ye iḳhtiyār dil-e-zār tum ko kab se huā
sajī haiñ dil meñ tumhāre karam kī tasvīreñ
idhar se ġham kā guzar bhī baḌe adab se huā
tulu-e-subh se kab kab zawal-e-shab se hua
jahan mein nur faqat barq-e-nutq-o-lab se hua
juda juda the bahut nek-nam hum donon
malamaton ka hadaf hain milap jab se hua
mile ho tum to hui qadr dil ko lamhon ki
guzar chuki hai bahut par hisab ab se hua
har ek chahne wala bana hai KHusraw-e-gham
dayar-e-ishq mein ye inqalab kab se hua
lahu ki dhaar ko samjhe haqir KHanjar se
zawal sahab-e-jaanan isi sabab se hua
kisi ada ko sitam kah diya kisi ko karam
ye iKHtiyar dil-e-zar tum ko kab se hua
saji hain dil mein tumhaare karam ki taswiren
idhar se gham ka guzar bhi baDe adab se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.