tum aa gae ho meri zarurat to maut thi
tum aa ga.e ho merī zarūrat to maut thī
tum sirf ik davā ho ki rāhat to maut thī
kaise maiñ zindagī kī mohabbat meñ paḌ gayā
barsoñ se merī pahlī mohabbat to maut thī
de kar hameñ ye zindagī bahlā liyā gayā
varna hamāre kaam kī ujrat to maut thī
dīvāne ban ke phirte the jis kī talāsh meñ
dekhī jab us hasīn kī sūrat to maut thī
maiñ bhī samajh na paayā thā marne se peshtar
dar-asl merī āḳhirī hasrat to maut thī
tum aa gae ho meri zarurat to maut thi
tum sirf ek dawa ho ki rahat to maut thi
kaise main zindagi ki mohabbat mein paD gaya
barson se meri pahli mohabbat to maut thi
de kar hamein ye zindagi bahla liya gaya
warna hamare kaam ki ujrat to maut thi
diwane ban ke phirte the jis ki talash mein
dekhi jab us hasin ki surat to maut thi
main bhi samajh na paya tha marne se peshtar
dar-asl meri aaKHiri hasrat to maut thi
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 128)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.