tum aa gae jo yahan raat ke andhere mein
tum aa ga.e jo yahāñ raat ke añdhere meñ
haiñ chāñdnī kā samāñ raat ke añdhere meñ
tumheñ hai shauq bahut titliyāñ pakaḌne kā
phiro na yuuñ mirī jaañ raat ke añdhere meñ
bhaTaktī phirtī haiñ rūheñ añdherī rātoñ meñ
nikal paḌe ho kahāñ raat ke añdhere meñ
tumhārī yaad ne dilkash banā diyā varna
ye dilkashī thī kahāñ raat ke añdhere meñ
yahāñ to din ke ujāle meñ log Darte haiñ
kahāñ chale ho miyāñ raat ke añdhere meñ
mirā harīf muḳhātib hai mujh se yuuñ jaise
sadā-e-shor-e-sagāñ raat ke añdhere meñ
jab aa ga.ī hai tabī.at to fikr kyā vaa.iz
milegā kaun yahāñ raat ke añdhere meñ
ye kis ḳhayāl meñ ghar se nikal paḌe ho 'ġhanī'
sukūñ milegā kahāñ raat ke añdhere meñ
tum aa gae jo yahan raat ke andhere mein
hain chandni ka saman raat ke andhere mein
tumhein hai shauq bahut titliyan pakaDne ka
phiro na yun meri jaan raat ke andhere mein
bhaTakti phirti hain ruhen andheri raaton mein
nikal paDe ho kahan raat ke andhere mein
tumhaari yaad ne dilkash bana diya warna
ye dilkashi thi kahan raat ke andhere mein
yahan to din ke ujale mein log Darte hain
kahan chale ho miyan raat ke andhere mein
mera harif muKHatib hai mujh se yun jaise
sada-e-shor-e-sagan raat ke andhere mein
jab aa gai hai tabiat to fikr kya waiz
milega kaun yahan raat ke andhere mein
ye kis KHayal mein ghar se nikal paDe ho 'ghani'
sukun milega kahan raat ke andhere mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.