tum aa rahe ho ki ja rahe ho
tum aa rahe ho ki jā rahe ho
batāo kyoñ muskurā rahe ho
ye kaisā jalva dikhā rahe ho
nigāh-o-dil meñ samā rahe ho
karoge kyā ḳhaak ḳhāna-e-dil
nazar se bijlī girā rahe ho
milegā kyā aisā kar ke tum ko
kyoñ mujh ko nāhaq satā rahe ho
hai aarzī karr-o-far tumhārā
ye jashn jo tum manā rahe ho
manā.egā ḳhair apnī kab tak
jise tum ab tak bachā rahe ho
lahū pukāregā āstīñ kā
jo qatl kar ke chhupā rahe ho
jahāñ meñ kar degā tum ko rusvā
jo zulm 'barqī' pe Dhā rahe ho
tum aa rahe ho ki ja rahe ho
batao kyon muskura rahe ho
ye kaisa jalwa dikha rahe ho
nigah-o-dil mein sama rahe ho
karoge kya KHak KHana-e-dil
nazar se bijli gira rahe ho
milega kya aisa kar ke tum ko
kyon mujh ko nahaq sata rahe ho
hai aarzi karr-o-far tumhaara
ye jashn jo tum mana rahe ho
manaega KHair apni kab tak
jise tum ab tak bacha rahe ho
lahu pukarega aastin ka
jo qatl kar ke chhupa rahe ho
jahan mein kar dega tum ko ruswa
jo zulm 'barqi' pe Dha rahe ho
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.