tum aae nahin to hum apni mahfil ko saja kar kya karte
tum aae nahin to hum apni mahfil ko saja kar kya karte
Zaheer-ul-Hasan Tishna
MORE BYZaheer-ul-Hasan Tishna
tum aa.e nahīñ to ham apnī mahfil ko sajā kar kyā karte
raunaq tum hī the mahfil kī auroñ ko bulā kar kyā karte
ġhā.eb the nazar se sāhil bhī aur TuuT chukī thī kashtī bhī
aise meñ abas ham tūfāñ se kashtī ko bachā kar kyā karte
apnī hī zamīñ ke jab kitne asrār abhī bhī haiñ pinhāñ
ai logo batāo to itnā ham chāñd pe jā kar kyā karte
the apne parā.e sab dushman aur luuT rahe bhī the mil kar
aise meñ bulāte ham kis ko aur shor machā kar kyā karte
paiġhām to un kā aayā hai tum shahr meñ 'tishna' aa jaao
sahrā hai pasandīda ham ko ham shahr meñ jā kar kyā karte
tum aae nahin to hum apni mahfil ko saja kar kya karte
raunaq tum hi the mahfil ki auron ko bula kar kya karte
ghaeb the nazar se sahil bhi aur TuT chuki thi kashti bhi
aise mein abas hum tufan se kashti ko bacha kar kya karte
apni hi zamin ke jab kitne asrar abhi bhi hain pinhan
ai logo batao to itna hum chand pe ja kar kya karte
the apne parae sab dushman aur luT rahe bhi the mil kar
aise mein bulate hum kis ko aur shor macha kar kya karte
paigham to un ka aaya hai tum shahr mein 'tishna' aa jao
sahra hai pasandida hum ko hum shahr mein ja kar kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.