tum ahl-e-dil ho so dil mein rakha hamara nam
tum ahl-e-dil ho so dil mein rakha hamara nam
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
tum ahl-e-dil ho so dil meñ rakhā hamārā naam
vagarna ham bhī haiñ kyā aur kyā hamārā naam
har ek shaḳhs ke siine meñ ham dhaḌakte haiñ
sabhī ke hoñToñ pe hai jā-ba-jā hamārā naam
tamām umr ka.ī lafz chaak par ghūme
tab ek arse meñ jā kar banā hamārā naam
tumhāre kānoñ kī Dhaltī huī guphāoñ meñ
ba-rañg-e-raushnī paḌtā huā hamārā naam
sadā kuchh aur hī aa.ī thī us kī jānib se
hameñ lagā thā ki us ne liyā hamārā naam
ḳhamoshiyoñ ke badan par sadā.eñ likhnī thiiñ
ajiib shaḳhs thā likhne lagā hamārā naam
phir us ko sun ke bahut der tak sabhī ro.e
koī kahānī thī āḳhir meñ thā hamārā naam
tum ahl-e-dil ho so dil mein rakha hamara nam
wagarna hum bhi hain kya aur kya hamara nam
har ek shaKHs ke sine mein hum dhaDakte hain
sabhi ke honTon pe hai ja-ba-ja hamara nam
tamam umr kai lafz chaak par ghume
tab ek arse mein ja kar bana hamara nam
tumhaare kanon ki Dhalti hui guphaon mein
ba-rang-e-raushni paDta hua hamara nam
sada kuchh aur hi aai thi us ki jaanib se
hamein laga tha ki us ne liya hamara nam
KHamoshiyon ke badan par sadaen likhni thin
ajib shaKHs tha likhne laga hamara nam
phir us ko sun ke bahut der tak sabhi roe
koi kahani thi aaKHir mein tha hamara nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.