tum ai rais! ab na agar aur magar karo
tum ai ra.īs! ab na agar aur magar karo
kuchh der apne saath bhī pyāre! basar karo
mumkin hai zaat kā usī lamhe meñ ho zuhūr
ik lamha kā.enāt se qat-e-nazar karo
tayyāra-hā-e-ahd-e-ravāñ haiñ sadā-shigāf
misl-e-shuā-e-nūr ḳhalā meñ safar karo
kab tak muāmla ye dimāġhoñ se shahd kaa?
tāsīr-e-zahr ban ke diloñ meñ guzar karo
kab tak ḳhud apne dil meñ chubho.oge barchhiyāñ
nok-e-sināñ se gumbad-e-be-dar meñ dar karo
miltā nahīñ makāñ jo sharīfoñ ke shahr meñ
uTTho tavā.ifoñ ke gharāne meñ ghar karo
tum ai rais! ab na agar aur magar karo
kuchh der apne sath bhi pyare! basar karo
mumkin hai zat ka usi lamhe mein ho zuhur
ek lamha kaenat se qat-e-nazar karo
tayyara-ha-e-ahd-e-rawan hain sada-shigaf
misl-e-shua-e-nur KHala mein safar karo
kab tak muamla ye dimaghon se shahd ka?
tasir-e-zahr ban ke dilon mein guzar karo
kab tak KHud apne dil mein chubhooge barchhiyan
nok-e-sinan se gumbad-e-be-dar mein dar karo
milta nahin makan jo sharifon ke shahr mein
uTTho tawaifon ke gharane mein ghar karo
- Book : Hikayat-e-nai (Pg. 43)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est. Krachi-3 (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.