tum aise paudon ne baDh kar shajar nahin hona
tum aise paudoñ ne baḌh kar shajar nahīñ honā
tumhāre saa.e se haTnā magar nahīñ honā
zamīn-o-āsmāñ ke apne apne mas.ale haiñ
kisī taraf se bhī tum be-ḳhabar nahīñ honā
safar se pahle kā kuchh vaqt un ġhamoñ ke naam
jinhoñ ne shāmil-e-raḳht-e-safar nahīñ honā
yahāñ se aage kahīñ ik jahān aur hai aur
mu'āmla jo idhar hai udhar nahīñ honā
abhī se bāhamī ishkāl duur kar liije
kabhī bhī aisī darāḌoñ ne dar nahīñ honā
alag haiñ achchhe bure vāzeh taur par yā'nī
phir is jagah se hamārā guzar nahīñ honā
ḳhalā-o-vaqt kī sātoñ jihāt meñ 'hāris'
vo ek lamha kisī se basar nahīñ honā
tum aise paudon ne baDh kar shajar nahin hona
tumhaare sae se haTna magar nahin hona
zamin-o-asman ke apne apne masale hain
kisi taraf se bhi tum be-KHabar nahin hona
safar se pahle ka kuchh waqt un ghamon ke nam
jinhon ne shamil-e-raKHt-e-safar nahin hona
yahan se aage kahin ek jahan aur hai aur
mu'amla jo idhar hai udhar nahin hona
abhi se bahami ishkal dur kar lije
kabhi bhi aisi daraDon ne dar nahin hona
alag hain achchhe bure wazeh taur par ya'ni
phir is jagah se hamara guzar nahin hona
KHala-o-waqt ki saton jihat mein 'haaris'
wo ek lamha kisi se basar nahin hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.