tum apnā Dagar aap pahchān lo
vagarna mirā mashvara maan lo
bahāroñ kā mausam hai ai jogiyo
hasīnoñ se kuchh ruup kā daan lo
yuñhī bāñdh baiThe ho 'azm-e-safar
koī saaz lo koī sāmān lo
farishte se niklegā behtar kahīñ
misālan koī ek insān lo
ye jogan bhī aisī munāfiq nahīñ
'adam' zindagī kā kahā maan lo
tum apna Dagar aap pahchan lo
wagarna mera mashwara man lo
bahaaron ka mausam hai ai jogiyo
hasinon se kuchh rup ka dan lo
yunhi bandh baiThe ho 'azm-e-safar
koi saz lo koi saman lo
farishte se niklega behtar kahin
misalan koi ek insan lo
ye jogan bhi aisi munafiq nahin
'adam' zindagi ka kaha man lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.