tum apna pahla qadam to baDhao bismillah
tum apnā pahlā qadam to baḌhāo bismillāh
ḳhudā sañbhālne vaalā hai jaao bismillāh
vo kyā thā jis meñ mohabbat kī jiit hotī thī
sunāo phir vahī qissa sunāo bismillāh
agar ye jang hai to mujh se haar jāoge
agar ye 'ishq hai to paas aao bismillāh
mire nasīb meñ likh hī diyā hai zahr kā jaam
to ai zamīñ ke ḳhudāo baḌhāo bismillāh
tumheñ pasand nahīñ ye jahāñ to chhoḌo ise
banāo ik na.ī duniyā banāo bismillāh
tum apna pahla qadam to baDhao bismillah
KHuda sanbhaalne wala hai jao bismillah
wo kya tha jis mein mohabbat ki jit hoti thi
sunao phir wahi qissa sunao bismillah
agar ye jang hai to mujh se haar jaoge
agar ye 'ishq hai to pas aao bismillah
mere nasib mein likh hi diya hai zahr ka jam
to ai zamin ke KHudao baDhao bismillah
tumhein pasand nahin ye jahan to chhoDo ise
banao ek nai duniya banao bismillah
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 97)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.