tum apne aapko badlo to dusra badle
tum apne aap ko badlo to dūsrā badle
tumheñ ye shauq ki kirdār ā.īna badle
dil-o-dimāġh kī rāheñ haiñ muḳhtalif kab se
tumhāre qurb se shāyad ye fāsla badle
koī to ḳhauf muqaddar se be-amal ho jaa.e
koī amal hī se qismat kā faisla badle
anā ke zahr ko thūko to muttahid ho jaa.eñ
badī se hārte rahne kā silsila badle
tamām lamhoñ ke mausam usī ke haath meñ haiñ
ḳhudā yūñhī rakhe kis kis ko kaun sā badle
fareb-e-fikr-o-nazar hai ki ye hai azmat-e-harf
ki matn yūñhī rahe sirf hāshiya badle
tum apne aap ko badlo to dusra badle
tumhein ye shauq ki kirdar aaina badle
dil-o-dimagh ki rahen hain muKHtalif kab se
tumhaare qurb se shayad ye fasla badle
koi to KHauf muqaddar se be-amal ho jae
koi amal hi se qismat ka faisla badle
ana ke zahr ko thuko to muttahid ho jaen
badi se haarte rahne ka silsila badle
tamam lamhon ke mausam usi ke hath mein hain
KHuda yunhi rakhe kis kis ko kaun sa badle
fareb-e-fikr-o-nazar hai ki ye hai azmat-e-harf
ki matn yunhi rahe sirf hashiya badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.