tum apne gird hisaron ka silsila rakhna
tum apne gird hisāroñ kā silsila rakhnā
magar hamāre liye koī rāsta rakhnā
hazār sānahe pardes meñ guzarte haiñ
jo ho sake to zarā ham se rābta rakhnā
ḳhizāñ rakhegī daraḳhtoñ ko be-samar kab tak
guzar hī jā.egī ye rut bhī hausla rakhnā
ziyāda der 'zafar' zulm rah nahīñ saktā
agar ab aa.eñ kaḌe din to jī kaḌā rakhnā
tum apne gird hisaron ka silsila rakhna
magar hamare liye koi rasta rakhna
hazar sanahe pardes mein guzarte hain
jo ho sake to zara hum se rabta rakhna
KHizan rakhegi daraKHton ko be-samar kab tak
guzar hi jaegi ye rut bhi hausla rakhna
ziyaada der 'zafar' zulm rah nahin sakta
agar ab aaen kaDe din to ji kaDa rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.